Mujhko jeena aa gya

Dil mein na jaane kitni khwahishein thi,
kuch zahir hui aur kuch adhoori hi reh gyi,
par un palon mein jo ehsaas hua,
saari kaynaat mein aisa izhaar hua,
laga ki ab mujhko jeena aa gaya,
saanson ko thaamkar ab mujhko chalna aa gaya…

Manzilon mein kitne hi raahi mile,
par saath chalne waale na jaane kahan reh gaye,
un sapno ka pechha karte hue kaafi door nikal aye,
kab mudke dekha to sirf pehchaane hue raaste nazar aye,
par koi afsos na tha ye jaankar ki un raaston par akele chalna aa gya,
bas yahi ehsaas tha ki mujhko jeena aa gaya…

Leave a Reply

Fill in your details below or click an icon to log in:

WordPress.com Logo

You are commenting using your WordPress.com account. Log Out /  Change )

Twitter picture

You are commenting using your Twitter account. Log Out /  Change )

Facebook photo

You are commenting using your Facebook account. Log Out /  Change )

Connecting to %s